Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge
`
Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye ! Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai
`
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.
`
Yun durr reh! kar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
`
Zamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.
`
Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
Par hai re meri futi kismat,
Koi dil leneko hi taiyar nahi.
`
Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,
Khali hao botal fir bhi piya ja raha hu,
Majburi to dekho is dil ki.
Reply nahi mil raha fir bhi msg kiya ja raha hu.
`
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya.