Kabhi roke muskuraye kabhi muskurake roye
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye…
Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.
Log to apna banake chodd dete hai..
Kitnee aasanise ghairon se rishta jod lete hai…
Hum ek phool tak na tod sake kabhi…
kuch log to berahmi se dil bhi tod dete hai..
Agar chand ko paana itna aasaan hota
har koi chandni ka deewana hota
taare toh roz hi tootte hai aasmaan pe
par koi unka sahaara nahin hota
Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi
Tamaam raat vo zakhm de ke apne pairon ko
mere vajood ke raaz talaash karte thei
duaae karte thei aujde hue mazaaron pe
bade ajeeb shehar talaash karte thei
mujhe toh bataaya hai baadlon ne….
vo lautne ke raaste talaash karte thei…