Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye…
Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.
Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…
Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.
Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.
Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota …