Dekha Hai Jabse Tumko Mera Dil Nahi Hai Basmein
Dekha Hai Jabse Tumko, Mera Dil Nahi Hai Basmein
Jee Chaahe Aaj Tod Doon Dunia Ki Saari Rasmein
Tera Haath Chaahta Hoon, Tera Saath Chaahta Hoon
Baahon Mein Teri Rehna Main Din Raat Chaahta Hoon
`
Chaahenge Umar Bhar Hum Subah Sham Tumko
Humne Bana Liya Hai Dil Ka Arman Tumko
Mere Siva Kisi Par Nazarein-Karam Na Karna
Sitam Koi Karna Bas Ye Sitam Na Karna
Apne Dil Se Ye Pyar Kam Na Karna
`
Hunme Chaaha Tumhe, Humne Pooja Tumhe
Aur Tumne Chaah Se Na Kabhi Dekha Hume
Tum Apne The Fir Bhi Begaane Rahe
Hum Begaane The Fir Bhi Tumhare Rahe
`
Naddan Hai Voh, Hairan Hai Voh
Khud Apne Hi Sawalon Se, Pareshaan Hai Voh
`
Kya Bataun Unhe, Ki Pyar Kya Hota Hai
Abhi Sacchi Mohabbat Se, Anjaan Hai Voh
`
Kho Na Jayein Aap Duniya Ki Bheed Mein
Isliye Dil Mein Chhupakar Rakhta Hoon
Tumko Lage Na Kisi Ki Boori Nazar
Isliye Ankhon Mein Basakar Rakhta Hoon
`
Pyaar Ki Rasm Nibha Di Humne
Apni Hasti Jo Mita Di Humne
Humko Khusi Na Mili Kabhi
Shama Ki Tarah Zindgi Zala Di Humne
`
Ab Hum Kisi Ki Bhi Tamannaa Na Karenge
Ab Raah Bhi Kisi Ki Dekha Na Karenge
Mere Dard Se Vaakif Na Ho Jaye Mera Saya
Ab Is Andhere Dil Mein Ujaala Na Karenge
Aakhen Jali, Rooh Jali, Dil Jla, Jism Jla
Deeya Umeed Ka Palkon Par Jalaaya Na Karenge
`
Kisi Ke Armaan Aise Thukraya Nahi Karte
Manaane Waalon Se Aise Rooth Jaya Nahi Karte
Khafa Hota Hai Khuda Bhi Kisi Ko Sataane Se
Apno Ko Is Kadar To Tadpaya Nahi Karte …