🍻sharabi shayariya phir aansuon ke kuch fasane nikle Phir aansuon ke kuch fasane nikle, maikhane se sharabo ke paimane nikle, jo dil ke haal ko samajh na paaya, unko hum apne zakham dikhane nikle. tum agar gulab hote to tod leta Tum agar gulab hote to tod leta, Tum agar sawal hote to jawab deta, Log jante hai ki main peeta nahi hoon, Phir bhi pee leta agar tum sharab hote. kuch nasha to aapki baat ka hai Kuch nasha to aapki baat ka hai, Kuch nasha to dhimi barsaat ka hai, Hame aap yuhi sharabi na kahiye, Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai. nasha jaruri hai zindagi ke liye Nasha jaruri hai zindagi ke liye, par sirf sharab hi nahi hai bekhudi ke liye, kisi ki mast nigaho mein doob ja aye Dost, bada hasi samundar hai khudkushi ke liye. jise koyal samjha wo kauwa nikla Jise Koyal samjha wo Kauwa nikla, Dosti ke naam par Hauwa nikla, Jo roka karte the hame sharab peene se, saala aaj usi ki jeb se hi Pawua nikla. meri kabar pe mat gulab leke aana Meri Kabar Pe Mat Gulab Leke Aana, Na Hi Haatho Mein Chiraag Leke Aana, Pyasa Hu Main Barso Se Sanam, Botal Sharab Ki Aur Ek Glass Leke Aana nasha mohabbat ka ho ya sharab ka Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka, Hosh Dono Mein Koh Jaate Hai, Farq Sirf Itna Hai Ke Sharab Sula Deti Hai, Aur Mohabbat Rula Deti Hai yuhi khana kharab rehne de saaki yuhi khana kharab rehne de saaki, jam main aftab rehne de saaki, gham se ghabra gaya ho main saaki, mujhe gharke sharab rehne de saaki. ghum is kadar mila ke ghabra ke pee gaye Ghum is kadar mila ke ghabra ke pee gaye, Khushi thodi mili to mila kar pee gaye, Yu to na the hum peene ke aadi, Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pee gaye. sharabi ilzaam sharab ko deta hai Sharabi ilzaam sharab ko deta hai, Aashiq bhi ilzaam shabab ko deta hai, Koi nahi karta, kabool apni bhool, Kanta bhi ilzaam gulaab ko deta hai