🍻sharabi shayariya teri aankhon se aisi sharab pee maine Teri aankhon se aisi sharab pee maine, Ke phir na kabhi hosh ka dawa kiya kabhi maine, Wo aur honge jinhe maut aa gayi hogi, Nigah-e-yaar se paayi hai zindagi maine. phir aansoo ke kuch fasane nikle phir aansoo ke kuch fasane nikle, maikhane se sharab ke paimane nikle, jo dil ka haal hamara samajh na paaye, kyu unko hum apne zakhm dikhane nikle. har baat ka jawab nahi hota Har Baat Ka Jawab Nahi Hota, Har Ishq Ka Naam Kharab Nahi Hota, Yu To Jhum Lete Hai Nashe Mein Peene Wale, Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota. zindagi ke sawalo ka jawab dhundta hoon Zindagi ke sawalo ka jawab dhundta hoon, dard ko kam kar sake wo sharab dhundta hoon, waqt ke haatho majboor ek shaks hoon main, jo jeene ka de bahana wo kitaab dhundta hoon. nasha jaruri hai zindagi ke liye Nasha Jaruri Hai Zindagi ke Liye, Sirf Sharab Hi kaafi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye, Kisi Ki Mast Nigahon Me Doob Jao ek dafa, Bada Haseen Samunder Hai Khudkhushi Ke Liye. har phool gulab ka nahi hota Har Phool Gulab ka Nahi Hota, Har Jaam Sharab ka Nahi Hota, jara Sambhalkar Chalna Mere Dost, Har Dost Meri Tarah Wafadar Nahi Hota. koi peeta hai nasha chadhane ke liye Koi peeta hai nasha chadhane ke liye, Koi peeta hai gham bhulane ke liye, Na jaane kyu duniya kehti hai sharab ko bura, Sharabi to ise peeta hai bas gam bulane ke liye har baat ka koi jawab nahi hota Har Baat ka Koi Jawab Nahi Hota, Har Ishq ka Naam Kharab Nahi Hota, Yu to Jhoom Lete Hai Nashe mein Peene Wale, Magar Har Nashe ka Naam Sharab Nahi Hota. pilana farz tha to kuch bhi pila diya hota Pilana farz tha to kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to paani mila diya hota, zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota. ye shayari likhna unka kaam nahi Ye shayari likhna unka kaam nahi, Jinke dil aankhon mein basa karte hai, Shayari toh wo mushroof saksh likhte hai, Jo sharab se nahi, kalam se nasha karte hai.