Search Shayaris...

🥰ishq / mohabbat shayariya

labon pe aaj unka naam aa gaya

Labon pe aaj unka Naam aa gaya,
Pyase pass jaise Jaam aa Gaya,
Dole kadam to gire unki Bahon mein ja kar,
Aaj Hamara Pina hi Hamare Kaam Aa Gaya.
`
Nafrat tum Kabhi na Karna Humse,
Hum yeh she nahi payenge,
Ek Baar Keh Dena Humse Jarurat Nahi ab Tumhari.
Aapki Duniya Se hans Kar Chale Jayenge.
`
Tere Dil Ko Sajayange apne armaan deker,
Tere labon ko Hasayange apni Muskaan dekar,
Dosti ki Kasam Tuje Kafan Se Utha le aayenge,
Tere Jism Mein Apni JAAN dekar.
`
Phool Hote to teri Rahon mein bichh jaate hum,
Gum hote to tuje Kabhi na Satate hum,
yeh or baat hai ki teri Jaan Hai Hum,
na hote to bhi tum pe JAAN lutate hum
`
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari
`
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
`
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
`
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
`
Tuje Ansu bhari who Dua mile Jise Kabhi
na inkar khuda kare, Tuje
Hasrat Na Rahe Kabhi Jannat ki Tere
Aangan mein Mohabbaton ki aisi hawa chale
`
Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sacche Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai.
`
Aapse Dur Bhala Hum Kaise reh paate,
Dil Se aapko Kaise Bhula paate,
Kaash ki aap sanso ke alava aaine mai bhi base hote.
Khud ko bhi dekhte toh aap NAZAR aate.
`
Kisi Khush Naseeb ki Taqdir hai aap,
Khwabo ki sachchi tasvir hai aap,
Aur kya kahe aapki shaan main,
Mere hathon main dosti ki lakeer hai aap.
`
Kisi Khush Naseeb ki Taqdir hai aap,
Khwabo ki sachchi tasvir hai aap,
Aur kya kahe aapki shaan main,
Mere hathon main dosti ki lakeer hai aap
`
Rishton ki Dori Kamjor Hoti Hai,
Aankhon ki baaten dil ki chor hoti hai,
Khuda ne jab b puchha dosti ka matlab
Hamari ungli Hamesha aapki orr hoti hai
aapki ungli ???????
`
Dil ma umang chhe, pan umang ma tu nathi,
Chandra ni chhe chandni pan poonam ni raat nathi,
Sagar ma moti gana chhe pan teni mane jaroor nathi,
Hu tane kai kehva mangu chhu pan mara ma himmat nathi,
`
Tu kahi sake tem chhe pan tu kehva ni nathi,
Mara Dil ma tu ne tu j chhe pan tara Dil ma hu jnathi
ek hi nazar main aap dost ban gaye,
do baatein hamne ki, ke sara jahan ban gaye,
Pass rehkar bhi log hamare ban na paye,
Door rehkar bhi aap khaas ban gaye
`

aya dour ab naye ashiq ka

1.Aya dour ab Naye AshiQ Ka
purane Ashiqo ne azamana chaha?
batao kya kr sakte ho tum apni mehbooba k liye?
hum ne tho Qurbaan kr di thi Jaan un k liye
Sun k sawal New Ashiq hass pada
bola jo dard sahaa hai tumne uska waqt kam tha
bola hum ne tho guzari dard bari zindagi aisi
lo sunatha hoon Aap beethi apni
un k liye my apni sari Umar guzar di
khoon k Asansu the jo rukne k intezar me guzaari
isi dauraan chali gayi benaayeei hamari
magar wo ab tak b lout k na ayi
2.Hum wo Ashiq hai
jo Surath se nahi
Sirath se pyar krthe hai,
jis par jaan hum apni nishawar krthe hai,
kehne ko tho sabi Ashiq kehte hai,
Magar Hum wo Ashiq hai
jo apni mehboob ki izaat k khatir
hum apni Mohbbt b chupa sakte hai.
3.Ye Ashiq ki hai nayi daastan,
sun k sabi log hogaye pareshaan,
mohabt ki ladayi me jeet hi gaya tha wo,
apni mehbooba ko gar le aya tha wo,
khusi se tho ek din beet gaya,
Dusre hi din wo Late bangaya,
sare barathi hogaye pareshaan,
sun k NauShah pahunch gaya kabrastaan..
4.Ashiq ka tho ab Khoon hogaya
sun k dushman khush hogaya
goan k ladkiya ka behaal hogaya
rothe rothe keh rahi hai
Hye ye kya hogaya
ek thu hi tha apna jo aj jhuda hogaya
sun k dhusman khush hogaya
bola le my agaya
sun kr ladkiya rone lagi
apne yaar ko pukaar ne lagi
Khuda ko ye manzoor na hua
beja ek naye Ashiq ko
jo Athe hi bola
ruk jao meri jaan
mat ho hayeraan
khudha ne AZMAYA tum ko kr k pareshaan
ab hum baga dhenge sare shaitaan
5.Ashiq ye tumara hai,
dil jis pe hara hai,
Kaho jo b kehna hai,
Sunne jo ye Ashiq behta hai.
Chedo jitna chedna hai,
satao jitna satana hai,
magar fir b ye Ashiq
Tum pe hi martha hai.
6.Ek seek hum thume sikha denge
apna exprience tumhe batha denge
Na karna mohabbt haseeno se
ye dil badi asani se tod dhenge
keh k dost ye Ashiq ka
Sath badi asani se shod denge
inki batho pr na krna wishwaas
ya hi aksar doka dejayenge
kar k barosa inpar apne hi
pair pr hum khulhadi marlenghe
7.Na bansaka mohbbat ka rishta hamara
bikar gaya dil jo tha armaano bara
bangaya ek naya rishta unse hamara
keh k dosti sath choda hamara
shayad upar wale ko na manzoor tha milan hamara
isliye tootwadiya Ashiyana hamara
Na krna mohabbt aye dost shadi se pehle
warna bn k rehjaoge devdaas mouth se pehle
8.Shayro ki mehfil me aya hai naam hamara,
krthe jb shayari tho atha hai sabi ki wah wah ka ishara
pr usme koyi samjtha nahi dookuon ki dastaan hamara
9.Chere se wo yun nakab atane ko ktrathe gaye
batho hi bhato me betaabi badathe gaye
hum taras gaye dekne wo haseen chera-e-munavr
itni thi quaish k wo tukra k chale gaye
itna gehra sadma pahuncha is nadaan dil ko
bikre armano ko simaet na sake
huwa qudart ka karishma aisa
dekane wo chera
hame beauty parlour kolna padha
fir wo naqab hatana hi tha hame
tho chumne ka mouka mil gaya.
10.Clas me jab b unka zikar atha hai!
Answr paper pr kalam chalna shuru hojatha hai,
lik dhethe hai dastaan e mohabat,
pr kambkt wo teachr tak pahunch jata hai.
11.Ek haseena pe ye dil atka,
husn jiska aftab sa chamka!
Ankhen hai inki payari,
jispe lut gayi sari umr hamari,
daek kr hame jb ye muskuraye.
sabi gum humne bhoolaye,
jisko dekne ki kwaish ho 1bar
souncho Agar wo bn jaye Malika e AshiQ ek baar
bus itni si ilteja krthe hai hum
ruswa na hona kabhi hum se Tum
12.Ek haseen ladki ne hame diwana banaya!
Krna tha use dillagi isiliye hame istemaal me laya!
Wo janthi na thi hum ek nazuk Dil insaan hai
Dhe baite Dil ab baki jism bejaan hai
13.Dil thod diya app ne humara
ab ek akri ehsaan kardo
Mohabbat me Paani na sahi
Zehar hi peela dho
14.Jaane Aap Apne Hai
Yea Begana Hai
Par Accha Lagta Hai,
Do Pal Apke Saath Bitana,
Rista Hai Jaane Kya Apse Mera,
Par Khuaabo Me Apka Aana, Accha Lagta Hai,
Kehne Ko Jb B Ye Socha Mene
Ki Ap Haan Keh Degi Ab
Lekin Apka Na Keh Jaana Accha Lagta Hai,
Yaqn Nahi He Sayad Aapko Ki
Gam Mohabbat Me Hi Milte He,
Phir B Dil Ka Muskuraana Accha Lagta Hai,
Nazroo K Milane Se Hi Dil Ki Tabahi Suru Hoti Hai,
Phir B Apse Nazre Milana Accha Lagta Hai,
Nahi Pata Ki App Hame Pyaar Karte B Hai Ya Nahi,
Phir B Apke Khayalo Me Kho Jaana Accha Lagta Hai
15.POETRY 4 BRIDE
Sehre ko wo saja k aye,
maa baap ki kushiyun ko lehrate aye,
gar ko kushiyan lejane aye!
Huzoor ki sunnath ko ammal krne aye
kasam ye kuch kane aye!
Nibayenge bhabi ka sath jb tak ye rooh na jaye!
Dua tho sabki ye lene aye,
kali na jaye koyi misri badam ye laye!
Bhai behno ki kushi ka koyi pata nai
sab ko kushi ye lekar aye!
Bade buzurgaon ki ho jb dua hum pr.
Rahenge saath hum zindagi br.
Ye kehne aye!
16.Hum ne ek aisi ladki se mohabbt ki hai,
jo thodi nahi bahot sharmili hai,
Hum ne jb b unhe prapose kiya,
Unhone simple sa ek jawab diya!
Jo muje na samaj Aya?
Wo kehte hai k unke parents ki marzi!
Tab myne kaha k miya bivi razi tho
kya karinge parents aur Qazi!
17.Hamare sabr ka wo imtihan leti gayi,
humne ki unse mohabt jo uski saza likthi gayi,
ye na kehti k ye saza hai tumari,
Aur kabi na sounchti kya hogi iski majboori,
wo Agar samjthi hai k hum un k layaq nahi,
tho fir saaf saaf Wo kyun kehti nahi.
K hum us k qaabil nahi.
18.Hum ne tho unki or dosti ka hath badaya tha
par unhone hamari naadani ka galat istemal utaya
bana diya hame jo hm kabi na chahte the
band diya hame bhai k rishte me
jo charane wale dage se
is se bad kr gam kya hoga
jo sirf saha jaye unki yado se
Wo keh b diye tho kya hoga
wahi hoga jo mazoor e Qudha chahe
19.Tod diya dosti ka rishta hamara
jo tha sadiyo purana
Shayad unhe mil gaya koyi aur yara
Jane dho yaro ye galati hamari hi hogi
jo lagayi thi aas wo Sunehri na hogi
unhe pasand hoga koyi aur jo humse smart hoga
pr unhe abi tak pata nhi k dil se wo gareeb hoga
Hm ab aur na chahenge aur na kisi ko dil deynge
ye huyi thi humse galti
jo ab sudhaar lenge
na dhenge ye dil ab kisi ko
aur na pachtayenge kabi
jo huyi hai katha na dhuarayenge kabi.
20.Jo na kehni thi bhat wo kehgaye,
Jo kiye the wade wo mukar gaye,
wo kya jane zakm kitni chot dega,
ye tho unhe tab pata chalega,
jab unka koyi doka de jayega!