hasraton ki nigaaho pe sakht pehra hai
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai.
`
Dost ki Kami Mehsoos Hoti hai
Ek haseen suhane pal ki kami mehsoos hoti hai
jab tu sath ho har khushi mehsoos hoti hai
meri thami hui saans bi Puri hoti hai
`
Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.
`
Hum Kabhi Tumse Khafa ho nahi sakte,
wada kiya hai to bevafa ho nahi sakte,
aap bhale hi hume bhulakar so jao,
magar hum aapko yaad kiye bina so nahi sakte.
`
Ek phool aksar bagh saja deta hai
Ek hi sitara sansaar chamka deta hai
Jahan duniya bhar ke rishtey bhi kaam nahi aate
Wahin ek pyara sa dost zindagi bana deta hai.
`
Zindgi ke liye jina zaruri hai,
Jine k liye arman zaruri hai,
Dil mein chahe hazaro gum ho,
Phir bhi tere chehare pe muskan zaruri hai.
`
Dosti milti hai kismat se
Todo na ise shano shoukat se
Koi na jaane aage kya ho
Bacha kar rakho ise chahat se
`
Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,
Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!
`
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
`
Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai.
`
Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar ankhein hamari kahan se layega.