🌻dosti shayariya wo bewafayi kabul hai wafa ke liye wo bewafayi kabul hai wafa ke liye, wo aansu bhi kabul hai hansi ke liye, Hum to mohtaaz hai aapke pyar ke, baaki dushmani bhi kabul hai aapki dosti ke liye. phool ki shuruwat kali se hoti hai Phool ki shuruwat kali se hoti hai, Zindagi ki shuruwat jaan se hoti hai, Pyar ki shuruwat hoti hai dosti se, aur Dosti ki shuruwat aapse hoti hai. dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata, humse toota hua seesha dekha nahi jata, apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe, aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata. dosti ghazal hai gungunaane ke liye Dosti Ghazal hai, gungunaane ke liye, Dosti nagma hai, sunaane ke liye, Ye wo jazba hai jo sabko milta nahi, Kyuki hausla chahiye dosti nibhaane ke liye. dosti insaan ki zarurat hai Dosti insaan ki zarurat hai, dilo'n pe dosti ki hukamat hai, aapke pyar ki wajah se zinda hai hum, warna khuda ko bhi hamari zarurat hai. jitna dosti paayi hai aapse Jitna dosti paayi hai aapse, aur bhi zyada paane ko jee chahta hai, Jaane kon si khubi hai aap mein ki, zindagi bhar dosti nibhane ko jee chahta hai. dard se aankhein chaar kar lenge Dard se aankhein chaar kar lenge, hum bhi imtehaan-e-dosti de denge, teri dosti ki khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyaar kar lenge dost tera mujhe bahut sahara hai Dost tera mujhe bahut sahara hai, warna is duniya mein kaun hamara hai, log marte hai maut aane par, hame to aapke dosti ne hamesha mara hai. kuch baate unkahi reh gayi Kuch baate unkahi reh gayi, Kuch yaade ajnabi ban gayi, Socha tha nibhayengi hum dosti tamam umar, Par aaj wahi dosti ek fareb ban gayi. lamhe ye suhane sath ho na ho Lamhe ye suhane sath ho na ho, Kal mein aaj jaisi koi baat ho na ho, Aapki dosti hamesha is dil mein rahegi, Chahe puri umar humse mulakat ho na ho.