♠️dosti shayariya fizhao par khusiyo ka pehra hai Fizhao par khusiyo ka pehra hai, dil na jane kis ummed par thera hai, aankho se chalkate dard ki kasam, aapki dosti ka ristha sanso se bhi gehra hai. socha tha na karenge kisi se dosti Socha tha na karenge kisi se dosti, aur na karenge kisi se waada, par kya kare hum dost mila itna pyara, ki hume karna hi pada dosti ka waada. ye dosti ke risthe bhi ajeeb hote hai Ye dosti ke risthe bhi ajeeb hote hai, sabke apne apne naseeb hote hai, rehte hai to nigahon se door, wahi sabse kareeb hote hai. zindagi kisi ki amanat nahi hoti Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, amanat me kabhi khayanat nahi hoti, dil ko smbhal kar rakhna dost, meri dosti ki kaid me zamanat nahi hoti. dosti naam hai sukh dukh ke afsane ka Dosti naam hai sukh-dukh ke afsane ka, dosti raaz hai sada muskurane ka, ye koi pal do pal ki risthedari nahi, dosti to farz hai umar bhar sath nibhane ka. har lafj ko kagaj pe utara nahi jata Har lafj ko kagaj pe utara nahi jata, har naam ko sare aam pukara nahi jata, hoti h dosti me kuch raaj ki batein, yuhi to iss khel me dil hara nahi jata. teri dosti ne bahut kuch shika diya Teri dosti ne bahut kuch shika diya, meri khamosh duniya ko jaise hansa diya, karzdaar hoon mein uss khuda ka, jisne mujhe aap jaisa dost se mila diya tum na mano yeh haqeqat hai Tum na mano yeh haqeqat hai, dosti insaan ki jarurat hai, kisi din aao mehfil mein, jaan jaoge jindagi kitni khubsurat hai. wo dosti hi kya jisme duriyan na ho Wo dosti hi kya jisme duriyan na ho, wo apnapan hi kya jisme ladai na ho, wo dil hi kya jisme dard na ho, wo mobile hi kya jisme mera sms na ho. dosti ki tadap ko dhikaya nahi jata Dosti ki tadap ko dhikaya nahi jata, dil me lagi aag ko dhikaya nahi jata, kitni bhi doori ho dosti mein, aap jaise dost ko bhulaya nahi jata.