🐚dosti shayariya kuch rishte anjane mein ban jate hai Kuch rishte anjane mein ban jate hai, pehle dil phir zindagi mein mil jate hai, kehte hai uss daur-e-haqiqat ko dosti, jisme dil anjaane se ghul mil jate hai. dosti ka pehla pegam sirf aapke naam Dosti ka pehla pegam sirf aapke naam, Zindagi ki akhiri sham sirf aapke naam, Iss safar main humsafar hai aap or main, Iss dosti ko sikhar par le jana hai aapka kaam. wo dil kya jo kabhi milne ki dua na kare wo dil kya jo kabhi milne ki dua na kare, tujhe bhool kar jiyu aisa khuda na kare, rahegi teri dosti sada meri zindagi bankar, ye baat aur hai agar zindagi hi wafa na kare. guzre dino ki bhuli hui kisi baat ki tarah Guzre Dino Ki Bhuli Hui kisi Baat Ki Tarah, Ankhon Mein Jaagta Hai Koi tanha Raat Ki Tarah, Tumse Ummed Thi Ki Nibhaoge Dosti hamse, Tum Bhi Badal Gaye khufgarz dosti ki Tarha. wo mulaqaat kuch adhuri si lagi Wo mulaqaat kuch adhuri si lagi, Paas hokar bhi duri si lagi, Hotho pe hansi ankho mein nami, Pehli baar kisi ki dosti itni jaruri si lagi. mehak dosti ki ishq se kam nahi hoti Mehak dosti ki ishq se kam nahi hoti, Ishq mein zindagi kabhi khatam nahi hoti, Sath agar ho zindagi main dosto ka, To zindagi kisi jannat se kam nahi hoti. har mulaqat kuch adhoori si lagi Har mulaqat kuch adhoori si lagi, Door jaana bhi ek majboori si lagi, Ankhon me nami kuch yu aa gayi thi unke, ki unki dosti hame jannat si lagi. tumhari dosti ko dil se salaam karte hai tumhari dosti ko dil se salaam karte hai, dosti ka har lafz tumhare naam karte hai, tum maango ham se aaj jo bhi tumhe chahiye, apni har kushi aaj tumhare naam karte hai, pee hai sharab har gali har dukan se Pee Hai Sharab Har Gali har Dukan Se, Dosti Si Ho Gayi Hai Sharab Ke naam Se, Gujre Hai Hum Kuch Aise Muqam Se, Ki Aankhen Bhar Aati Hai dosti Ke Naam Se. saato aasman ki sair kar aaye Saato aasman ki sair kar aaye, ek-ek taare se dosti kar aaye, ek tara khas tha jise apne sath le aaye, warna aap hi sochiye aap dharti par kaise aaye.