🏋dosti shayariya suna dosti ke panno se bhari kitab ho tum Suna dosti ke panno se bhari kitab ho tum, risto ke phulo mein gulab ho tum, kuch log kehte hai ki dost sacche nahi hote, unn logo ke sawalo ka jawab ho tum. pyar to kabhi aankhon tak rehta hai Pyar to kabhi aankhon tak rehta hai, magar dosti dil ke kareeb hoti hai, Pyaar to Chand khushiya dekar thak jata hai, Magar dosti gam mein sath hoti hai. dosti nazron se ho to use khudrat kehte hai dosti nazron se ho to use khudrat kehte hai, sitaron se ho to use jannat kehte hai, husn se ho to use mohabbat kehte hai, aur aap se ho to use kismat kehte hai nafrat aap se koi kar nahi sakta Nafrat aap se koi kar nahi sakta, dosti ka karz ada koi kar nahi sakta, Dil ke karib hai aapki dosti, Aapse pyara dost koi ban nahi sakta. aashna hote hue bhi aashsa koi nahi Aashna hote hue bhi aashsa koi nahi, Jante hai sab mujhe pehchanta koi nahi, Mukhtasir lafzo mein ye hai mizaj-e-dosti, Rabta beshak hai sab se wasta koi nahi mehroom tha main har gam har khushi se Mehroom tha main har gam har khushi se, Gila tha mujh ko ab talak jindagi se, pata hi na chala kab wo dil mein bas gaye, jab ki shuruwat ki thi hamne dosti se. laboo ki hasi tere naam kar denge Laboo ki hasi tere naam kar denge, Har khushi tujh pe kurbaan kar denge, Jis din lage mere dosti mein kami to batana, Aye dost zindagi ko maut ke naam kar denge. sau bewafa kubool hai ek wafa ke liye Sau bewafa kubool hai ek wafa ke liye, Sau aansu kubool hai ek hasi ke liye, hum tho mohtaj hai aapke pyaar ke, Sau dushmani kubool hai aapki dosti ke liye. kar sake jis rishte par naaz wo dosti hai Kar sake jis rishte par naaz wo dosti hai, Chupale har raaz wo dosti hai, Jeevan ka har saaz dosti hai, Jo hai har dard ka ilaaj wo alfaaz dosti hai. tum ho to sab silsile acche lagte hai Tum ho to sab silsile acche lagte hai, Mujhe tumhari dosti ke gile acche lagte hai, Bohat door tak jana magar loot aana, Mujhe Tum se tumhi tak ke faasle acche lagte hai. .