🚅dosti shayariya dard se dosti ho gai yaaro Dard se dosti ho gai yaaro, Zindagi be-dard ho gai yaaro, kya hua jo jal gaye armaan hamare, door tak roshini ho gayi yaaro. bujh gaye bhi to kya apne dil ke diye Bujh gaye bhi to kya apne dil ke diye, Abhi na royenge hum roshni ke liye, Dil ka shisha jo tuta to gam kyu kare, Dard utha hai bas dosti ke liye. jab dil nahi karta to khuda ko bhi salam mat karo Jab dil nahi karta to khuda ko bhi salam mat karo, Bas dil mein rakho sachai duniya se fir na daro, Agar nahi nibha sakte iss jaha mein dosti, To reham karo uska naam badnaam to mat karo. hum dosti nibhana jaante hai Hum dosti nibhana jaante hai, Zakham kitne bhi gehre ho dava jante hai, Hame bhulne ki koshish na karna dost, Hum gala dabana bhi jaante hai. bolti hai dosti chup rehta hai pyaar Bolti hai Dosti chup rehta hai pyaar, Hasti hai dosti Rulata hai Pyaar, Milti hai dosti bichadta hai pyaar, Phir najane log kyu karte hai pyar. jiske paas kuch nahi uspe duniya hasti hai Jiske paas kuch nahi uspe duniya hasti hai, jiske paas sabkuch hai usse duniya jalti hai, mere paas tho sirf aapki dosti hai, jise paane ke liye duniya tarasti hai. khusbu teri dosti ki mujhe mehka jaati hai Khusbu teri dosti ki mujhe mehka jaati hai, Teri har baat mujhe behka jaati hai, Saans to bohat der leti hai aane jaane mein, Har saans se pehle teri yaad aa jati hai. request hai tumse refuse mat karna Request hai tumse refuse mat karna, Friendship ke ye dosti ko fuse mat karna, Hum dost hai tumahre confuse mat karna, Meri jagah kisi aur ko kabhi use mat karna. teri dosti ne diya sukoon itna Teri dosti ne diya sukoon itna, ke tere baad koi acha na lage, Tujhe karni hai bewafai to iss ada se kar, ki tere baad koi bewafa na lage. karke dosti hum kisi ko nahi bhulate Karke dosti hum kisi ko nahi bhulate, zindagi bhar hum dosti hai nibhate, Na ho tumhe dosti mein kami ka ehsaas, esiliye hum naye dost bhi nahi banate.