🛂dosti shayariya tumhari muskrahat meri pehchan hai tumhari muskrahat meri pehchan hai, tumhari khushi hi to meri jaan hai, akele kuch bhi nahi hai meri zindagi hai, tumhari dosti hi to meri shaan hai. in aankho se sapne churaya na karo In aankho se sapne churaya na karo, humari dosti ko azmaya na karo, tumhari ek hasi meri dil ki dhadkan hai, unhe yu na ansuo mein tum gawaya karo. chandni raato mein sara jaha sota hai Chandni raato mein sara jaha sota hai, lekin kisi ki yaado mein koi badnasib rota hai, khuda kisi ko dosti pe fida na kare, agar kare to dosto ko kabhi juda na kare. kuch kehte hai dosti pyaar hai Kuch kehte hai dosti pyaar hai, kuch kehte hai dosti zindagi hai, hum kehte hai Dosti sirf dosti hai, jise badhkar na pyaar hai na hi zindagi hai. aashna hote hue bhi aashna koi nahi Aashna hote hue bhi aashna koi nahi, Jante hai sab mujhe pehchanta koi nahi, Mukhtasir lafzo mein ye hai mizaj-e-dosti, Rabta beshak hai sab se wasta koi nahi. har gham ko khushi mein badalti hai dosti Har gham ko khushi mein badalti hai dosti, Har aansu ko hasi mein badalti hai dosti, Kuch log samajh nahi paate ke, Andheri raat ka jalta hua diya hai dosti. ye din ye mahina ye taarikh jab jab aayi Ye din ye mahina ye taarikh jab jab aayi, Hum ne kitne pyaar se janamdin ki mehfile sajayi, Har shamaa par naam likh diya dosti ka, Iss ki roshni mein chand jaisi teri surat hai samayi. dosti hum ne khoob nibhayi hai Dosti hum ne khoob nibhayi hai, dosti aur pyaar me na koi dewaar banayi hai, log to dosti karte hai chehre dekh kar, par aap ne to dosti ki ek pehchaan banayi hai. mulaqaat maut ki mehmaan ho gayi hai Mulaqaat maut ki mehmaan ho gayi hai, Nazar ki zindagi sunsan ho gayi hai, Ab meri saans bhi meri nahi rahi, Ye Zindagi aapki dosti par kurbaan ho gayi hai. meri dhadkano pe uska hi raaz hoga meri dhadkano pe uska hi raaz hoga, meri baat ka bas yahi andaaz hoga, kabhi bewafai nahi karte hum dosti mein, meri dosti pe aapko hamesha naaz hoga.