👩🏽🤝👨🏼dosti-yaari shayariya dosti achhi ho to rang laati hai Dosti achhi ho to rang laati hai, Dosti gehri ho to sabko bhaati hai, Dosti nada ho to toot jaati hai, dosti aap se ho to itihaas ban jaati hai. fir na simtegi agar dosti bikhar jayegi Fir na simtegi agar dosti bikhar jayegi, Zindagi zulf nahi jo fir se sanwar jayegi, Jo khushi de tumhe tham lo daman uska, Zindagi roo kar nahi has kar guzar jayegi. kareeb se tujhe jaana to apna paya Kareeb se tujhe jaana to apna paya, Tujhe dosti mein aazmaya to apna paaya, Tujhe kya naam du ye samajh na aaya, Dosti kahu zindagi kahu ya kahu apna saya. tujhe apna mukkadar batate hai Tujhe apna mukkadar batate hai, Khuda ke baad tere aage sar jhukate hai, Dosti ka rishta tod mat dena, Is rishte ke dum par hi muskurate hai. dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata Dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata, Humse toota hua sheesha dekha nahi jata, Apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe, Aye dost tera utra hua chehra yu dekha nahi jata. yakeen to hame sirf tum pe hai Yakeen to hame sirf tum pe hai, Warna na jane kitne dost paas hai, Hum to waada karte hai dosti ka, Bas aap se hi dost kehlane ki aas hai. dosti ko dil se nibhayenge hum Dosti ko dil se nibhayenge hum, Tum bhool bhi jao to yaad dilayenge hum, Aisi shararat karenge hum ki, Na chahte hue bhi tumhe yaad aayenge hum. fursat kise hai zakhmo pe marham lagane ki Fursat kise hai zakhmo pe marham lagane ki, Nigahen badal gayi apne aur begane ki, Tu na chodna kabhi dosti ka hath warna, Tammana mit jayegi kabhi dost banane ki. koi itna chahe tumhe to batana Koi itna chahe tumhe to batana, Koi tum pe nazar uthaye to batana, Dosti kar to lega koi bhi tumse, Koi hamari tarah nibhaye sath to batana. har kali tumse khuhsbu udhar mange Har kali tumse khuhsbu udhar mange, Aftaab tuhjse noor udhar mange, Rab kare tu dosti aise nibhaye, Ki log mujhse teri dosti bhi udhar mange.