👩🏽🤝👨🏼dosti-yaari shayariya dosti ke bina zindagi veeran hoti hai Dosti ke Bina Zindagi Veeran Hoti Hai, Akele Her Raah meri Sunsan Hoti Hai, Sache Dost Ka Hona Hai Bada Jaruri yaha, Kyunki Dost Se Her Muskil Aasan Hoti Hai. har aahat tumhe ehsaas hamara dilayegi Har aahat tumhe ehsaas hamara dilayegi, Har hawa ka jhoka khushbu hamari layega, Hum dosti kuch aisi nibhayenge, Ki hum ho na ho to humari yaad tumhe stayegi. jab dosti ki dasta ye waqt sunayega Jab dosti ki dasta ye waqt sunayega, Humko koi bichda hua sathi yaad aayega, hum bhool jayenge zindagi ke ghamo ko, Jab saath gujra hua waqt hume yaad aayega apki aankhon mein aansu kabhi aane na denge Apki aankhon mein aansu kabhi aane na denge, Aapki ye pyari si dosti yu jaane na denge, Agar mitna pada kabhi humari dosti ke khatir, Kasam se hum aisa ye mauka bhi hath se jaane na denge. dost ek sahil hai tufaano ke liye Dost ek sahil hai tufaano ke liye, Dost ek aaina hai armaano ke liye, Dost ek mehfil hai anjaano ke liye, Dosti ek khawish hai aap jaise dost pane ke liye. wo bewafayi kabul hai wafa ke liye wo bewafayi kabul hai wafa ke liye, wo aansu bhi kabul hai hansi ke liye, Hum to mohtaaz hai aapke pyar ke, baaki dushmani bhi kabul hai aapki dosti ke liye. phool ki shuruwat kali se hoti hai Phool ki shuruwat kali se hoti hai, Zindagi ki shuruwat jaan se hoti hai, Pyar ki shuruwat hoti hai dosti se, aur Dosti ki shuruwat aapse hoti hai. dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata, humse toota hua seesha dekha nahi jata, apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe, aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata. dosti ghazal hai gungunaane ke liye Dosti Ghazal hai, gungunaane ke liye, Dosti nagma hai, sunaane ke liye, Ye wo jazba hai jo sabko milta nahi, Kyuki hausla chahiye dosti nibhaane ke liye. toofan mein bikhrate chale gaye Toofan Mein Bikhrate Chale Gaye, Tanhai Ki Gehrai Mein Utarte Chale Gaye, Jannat Thi Har Subah Sham Jin Dosto Ke Sath, Ek-Ek Kar Ke Sab Bichhadte Chale Gaye.