👩🏽🤝👨🏼dosti-yaari shayariya jab dosti ki dastaan ye waqt hame sunayega Jab dosti ki dastaan ye waqt hame sunayega, hum ko bhi koi ek shaqs phir bhada yaad aayega, tab bhool jayenge zindagi ke saare ghamon ko, Jab aap ke sath guzra hau ek-ek lamha yaad aayega. kuch rishte anjane mein ban jate hai Kuch rishte anjane mein ban jate hai, pehle dil phir zindagi mein mil jate hai, kehte hai uss daur-e-haqiqat ko dosti, jisme dil anjaane se ghul mil jate hai. na rahe koi gila is kadar wafa denge Na rahe Koi Gila Is kadar Wafa Denge, Aapki Khushi Ki Khatir khud ko rula denge, Kabhi Na Bhulenge Aapki iss Dosti Ko Hum, Door Reh Kar Bhi hum Aapko Dil Se Dua Denge. har shaqs ki yaha ajab kahani hai Har Shaqs Ki yaha Ajab Kahani Hai, Chup Rehna Bhi Dosti Ki Nishani Hai, Phir Bhi Ek anjana sa ehsaas Hai, Lagta Hai Aap Yahi Kahi dil ke Pass Hai. dosti itni karo ki koi nafrat na rahe Dosti itni karo ki koi nafrat na rahe, Bharosa itna karo ki koi shaq na rahe, Intezaar itna karo ki gilani na ho, Pyar itna karo ki koi had hi na rahe. dosti ka pehla pegam sirf aapke naam Dosti ka pehla pegam sirf aapke naam, Zindagi ki akhiri sham sirf aapke naam, Iss safar main humsafar hai aap or main, Iss dosti ko sikhar par le jana hai aapka kaam. wo dil kya jo kabhi milne ki dua na kare wo dil kya jo kabhi milne ki dua na kare, tujhe bhool kar jiyu aisa khuda na kare, rahegi teri dosti sada meri zindagi bankar, ye baat aur hai agar zindagi hi wafa na kare. dosti ki raah mein bewafai nahi hoti Dosti Ki Raah Mein Bewafai Nahi Hoti, Dosti Se Badh ke Koi Khudai Nahi Hoti, Mehsoos Hoti Hai Kami Dosto Ki, Lekin Yadoon Ke Siwa Ko mulaqat Nahi Hoti. guzre dino ki bhuli hui kisi baat ki tarah Guzre Dino Ki Bhuli Hui kisi Baat Ki Tarah, Ankhon Mein Jaagta Hai Koi tanha Raat Ki Tarah, Tumse Ummed Thi Ki Nibhaoge Dosti hamse, Tum Bhi Badal Gaye khufgarz dosti ki Tarha. har ek jazbaat ko zuban nahi milti Har EK Jazbaat Ko Zuban Nahi Milti, Har Ek ko Arzoo-e-Dua Nahi Milti, Dosti rahi tab tak To kaafila Hai Sath, warna Aansu Ko Bhi Aankhon Me Panah Nahi Milti.