👩🏽🤝👨🏼dosti-yaari shayariya dosti mein dooriyan to aati rehti hai Dosti Mein Dooriyan To Aati Rehti Hai, Phir Bhi Dosti Dilo Ko Mila Deti Hai, Wo Dosti Hi Kya Jo ruthti Na Ho, Par Sachi Dosti Dosto Ko hamesa Mana Leti Hai. udhas na hona kyuki main sath hoon Udhas Na Hona Kyuki Main Sath Hoon, Samne Nahi Par Aas-Paas Hoon, Aankhon Ko Band Kar Ke Dil Se Yaad Karna, Main Dosti Ka Ik Haseen Ehsas Hoon. dosti ki raaho mein kabhi akelapan na mile Dosti Ki Raaho Mein Kabhi Akelapan Na Mile, Aye Dost Zindagi Mein Tumhe Kabhi Gum Na Mile, Dua Karte Hai Hum Khuda Se, Tuhme Jo Bhi Dost Mile Hum Se Kam Na Mile. kuch kehte hai dosti pyaar hai Kuch kehte hai dosti pyaar hai, kuch kehte hai dosti zindagi hai, hum kehte hai Dosti sirf dosti hai, jise badhkar na pyaar hai na hi zindagi hai. aashna hote hue bhi aashna koi nahi Aashna hote hue bhi aashna koi nahi, Jante hai sab mujhe pehchanta koi nahi, Mukhtasir lafzo mein ye hai mizaj-e-dosti, Rabta beshak hai sab se wasta koi nahi. din hua hai to raat bhi hogi Din Hua Hai To Raat Bhi Hogi, Ho Mat Udhas Khabhi To Baat bhi Hogi, Itne Pyaar Se Dosti Ki Hai Khudha Ki Kasam, Zindagi Rahi To Mulaqat Bhi Hogi. na khariyat koi na paigam aaya hai Na Khariyat Koi Na Paigam Aaya Hai, Jo Chaha Nahi Wo hi Anjam Aaya Hai, Kya Dost Ne Bhula Di Dosti Meri, Aaj Na Dua Na Koi Salaam Aaya Hai. yeh kis ke anshu gire kafan pe mere Yeh Kis Ke Anshu Gire Kafan Pe Mere, Yeh Kon Roya Mujh Ajnabi Ke Liye, Meri Maut Ke Baad Hi Uss Ko Ehsas Hoga, Main Kitna Acha Dost Tha sirf Ussi Ke Liye. khuda ne dost ko dost se milaya Khuda Ne Dost Ko Dost Se Milaya, Dosto Ke Liye Dosti Ka Ristha Banaya, Par Kehte Hai Dosti Rahegi Uski Kayam, Jisne Dosti Ko hai sacche Dil Se Nibhaya. dosti ghazal hai gaane ke liye Dosti Ghazal Hai Gaane Ke Liye, Dosti Nagma Hai Sunane Ke Liye, Ye Wo Jazba Hai Jo Sabko Nahi Milta, Kyoki Aap Jaisa dost Chahiye Nibhane Ke Liye.