👩🏽🤝👨🏼dosti-yaari shayariya muskurao aap to phool khil jaaye Muskurao aap to phool khil jaaye, baatein karo to dil machal jaaye, itni dilkash hai aapki dosti, dost to kya dushman bhi aapki dosti pe fida ho jaye. dooriyo ki na parwah kiya karo Dooriyo ki na parwah kiya karo, Jab dil chahe yaad kiya karo, Dushman nahi dost hai hum aapke, Hamara sms na aaye to khud bhej diya karo. yaha koi rishta nata kabhi saga nahi hota Yaha koi rishta nata kabhi saga nahi hota, ab to duniya mein koi waada waafa nahi hota, dushman ki dushmani pe bohat naaz hai hume, dosto se to haq-e-dosti bhi ada nahi hota. dushmano mein dost mila karte hai Dushmano mein Dost mila karte hai, Kanto mein phool khila karte hai, Humko kanta samjhkar chod na dena, Kante hi phulon ki hifazat kiya karte hai. tumse dosti kuch iss tarah nibhayenge Tumse Dosti kuch iss tarah Nibhayenge, hazar baar ruthoge to manayenge, maan jana warna aisi dosti dikhayenge, ki log aapse milne ke liye patal lok aayenge. gunah karke saza se darte hai Gunah Karke Saza Se Darte Hai, Zehar Pee ke Dawa Se Darte Hai, Dushmano ke Sitam Ka Khauf Nahi, Hum To Dosto Ki Wafa Se Darte Hai. tumhari dosti tumhari wafa hi kaafi hai Tumhari dosti tumhari wafa hi kaafi hai, Tamam umar ye aasra hi kaafi hai, Jaha milo mil ke muskura dena, Jeene ke waste ye aasra hi kafi hai. mann mein aapke har baat rahegi Mann mein aapke har baat rahegi, choti si basti hai magar aabaad rahegi, Chahe hum bhulade zamane ko bhi, Magar aapki ye dosti hamesha yaad rahegi. kinaro pe sagar ke khajane nahi aate Kinaro Pe Sagar Ke Khajane Nahi Aate, phir Jeevan Mein Dost Purane Nahi Aate, Jee lo Inn Palo Ko Has Ke Janab, phir Laut Ke Dosti Ke zamane Nahi Aate. dosti mein jeena dosti mein marna Dosti mein jeena dosti mein marna, himmat na ho to kabhi dosti na karna, dost ho kar dosti ka haq yu ada karna, agar main bhool bhi jaun to tum yaad rakhna.